anmol ki yaadein
- 130 Posts
- 9 Comments
HAME NA AAYA
Kareeb thi manjil mahobbat ki magr ,
Hame rahe vafa ke chalna bhi na aaya .
Basi thi tasveer dil mein unki magr ,
Hame khavab mein dekhna bhi na aaya .
Hanse the woh kabhi hame dekh ker magr ,
Hamen muskrana bhi na aaya .
Mallai thi nazar unhone magr ,
Hamen palak uthana bhi na aaya .
Kiya tha kabhi vada hum ne magr ,
Hamen nibhana bhi na aaya .
Badhaya tha hath dosti ka magr ,
Hamen hath thamna bhi na aaya .
Read Comments